Wednesday, November 18, 2009

Khwaabon ki raah main

khwaabon ki raahon main afsaane kitne
mile is jahaan main begaane kitne
choona jo chaaha to be-ehsaas hue
zindagi ne milaye aise parwaane kitne

daastan-e-muhobbat

daastan-e-muhobbat hui yun naseeb
nazdeek reh kar bhi na huye kareeb
qurbat ki aarzoo main dekha nahi
darwaza khol ke baithe the habeeb

Zakhm-e-tamannaa

zakhmi dil ko daad dijiye, ye nazm-e-gham sunata hai
ise mehrbaan irshaad kijiye, naghmaa ye dil jalaata hai

samaa baandha hai to phir ise anjaam bhi dije zara
vasl ke intezaar main, gul-e-husn murjhaata hai